Saturday 8 February 2020

Sangharsh: Safalta Ki Neev

Kehte hain ki koshish karne waale,
Haar nahi maante,
Unhe khud par hai bharosa,
Ki unhein zaroor milegi safalta.

Sangharsh se hi,
Safal hota hai aadmi,
Bina Sangharsh ke,
Koi bhi aage nahin badh sake.

Har koi apni kahaani,
Duniya ko bataana chahegi,
Isse paane ka koi aasaan rasta nahin,
Har kisi ko milegi safalta kabhi na kabhi.

Der se hi sahi,
Kabhi himmat haarna nahin,
Muqabala karte raho har baadha ka,
Yaad rakhna, ki sangharsh ke har kadam mein chhupi hai safalta.

Utaar - chadaav toh hote rahenge,
Kaamyaabi ke safar mein,
Sangharsh karne ke baad hi safalta prapt hogi,
Kyonki sangharsh karne waalon ki kabhi haar nahi hoti.

©️ Kritika Bhatia

No comments:

Post a Comment