Saturday 8 February 2020

Main Unn Jaisi Kyon Nahin

Sabki apni khoobi hai,
Sab mein ek khoobsurati hai,
Kuch jhalakte hain chehre se,
Aur kuch log kalakar hain.

Har kisi ko Bhagwan ne,
Banaya hai khaas,
Main unn jaisi kyon nahin,
Yeh sochkar na hona udaas.

Saari ungliyan ek samaan nahin,
Sabki soch alag hai,
Kuch bachpan se hi ameer hain,
Aur kuch logo ki acchi taqdeer hai.

Tulna kabhi na karna kisi se,
Tum bhi ho kaabil,
Kuch cheezein usse na mili ho,
Jo tum kar paate ho saralta se haasil.

Kuch log apaahij hain,
Kuch log padh nahin sakte,
Sabke paas sab hokar bhi,
Parivar toh hai hi nahin.

Dhanyawad karo uss Vidhata ka,
Ki Ussne tumhein sab kuch diya,
Garv hona chahiye tumhein iss baat par ki,
Tum unn jaisi ho nahin!

© Kritika Bhatia

#unique #nocomplaints #nocomparison #everyoneisbeautiful #privilege #bethankful #godisgreat #beyourself #youareyou #hindiwriting #hindilover #hindilines #hindilifequotes #hindipoetrylove #hindipoem #hindicommunity #hindipoets #hindikavita #hindiwriterscommunity #hindistan #hindipoetry #hindi_poetry #hindiwritersofinstagram #hindipanktiyaan

No comments:

Post a Comment