Saturday 8 February 2020

Masoomiyat

Daudte waqt ke saath,
Hum toh muqabla karte rahe,
Na jaane kitni saari cheezein,
Kurbaan kar baithe.

Samaaj ke saath,
Kandhe milana,
Humein sikhaya jaata hai,
Aur badti umar ke saath usse nibhaya jaata hai.

Ek chhote se bacche se,
Uski masoomiyat cheen ni nahi chahiye,
Woh dheere se seekh jaayega,
Kaise samaaj mein rehna chahiye.

Log kehte hain,
Ki bacche hain Bhagwan ka roop,
Unki nazron mein yeh duniya,
Hai sundar, bhale hi sach mein ho woh  kurup.

Bachpan ki masoomiyat,
Hai ek anmol ratan,
Jee bhar ke jee lene do,
Hoshiyar toh woh banega hi jab rakhega iss duniya mein kadam.

Waqt do usse,
Na ban jaana bojh uss par,
Iss bojh ko uthate - uthate,
Na kho baithe woh masoomiyat apne bachpan mein.

 © Kritika Bhatia

No comments:

Post a Comment