Friday 1 May 2020

Yeh Sunehra Mausam

Waqt ke saath hai badalti,
Apni hi rangon mein hai nikalti,
Le aati hai khoob sara pyaar,
Yeh sunehra mausam hai sabka dulaar.

Tike rahe yeh 3 se 4 mahine,
Har roop iske dikhaate huye,
Kudrat ka karishma samjho,
Har ritu ke sau rang dekho.

Kabhi pyaar jataane ki aayi rut,
Toh jhalak ke nikle kusum adbhut,
Har jagah rangeen lagti hai,
Aur sab apni deewangi mein leen hote hain.

Varsha ho ya ho basant,
Kisano ke dil jeetne ka koi nahin ant,
Kabhi garmi toh kabhi sardi,
Yeh prakriti hai badi nirali.

Patjhad ki jab aayi bahaar,
Toh bejaan hua yeh sansaar,
Magar himmat nahin haari,
Phir dikhaayi kudrat ne apni kalakari!

Waqt ke saath hai badalti,
Apni hi rangon mein hai nikalti,
Le aati hai khoob sara pyaar,
Yeh sunehra mausam hai sabka dulaar.
.
.
.
.
© Kritika Bhatia

#hindikavita #hindiwords #hindiinspiration #hindiwriting #hindilines #hindiwriters #hindiwriter #hindipoetry #hindipoems #hindiwritersofinstagram #hindi_poetry #season #seasonschange #nature #godscreation #colorsofnature #variety #naturalbeauty #hope #time

No comments:

Post a Comment