Wednesday 20 May 2020

MERI KHUSHIYON KO EK KHAT


Ae khushi,
Tu mujhse kyon aate hi khafaa ho gayi?
Kyon dilasa dilaya tune,
Ki iss sansaar mein abhi ummeed hai bachi?

Kyon pravesh karti hai tu?
Jab jaana hi tha?
Kuch pal agar ruk jaati,
Toh itna dard kabhi na hota!

Mehmaan ki tarah aa jaati hai,
Phir mudkar nahin dekhti hai,
Hum thehre tumhaare lautne ke intezaar mein,
Magar tu achanak chhup jaati hai.

Tu ek aisi atithi hai,
Jo manmarzi chale aaye,
Jab sakht zaroorat ho tumhaaari,
Toh tohfe mein kyon aasu tu de gayi?

Dilon ko jode bhi,
Ummeedon ko jagaaye bhi,
Phir achanak rooth jaati hai,
Yeh khushiyan sabko kahaan raas aati hai?

Aasu toh dono taraf behte hain,
Fark sirf itna hai,
Dard bhare hote hain dukh mein,
Aur ullas bhare hote hain sukh mein.

Har vyakti ne inhein mehsoos kiya,
Rang badalti hai yeh jaise khula aasmaan,
Kabhi bhi zyada der tikti nahin,
Yeh khushiyan bhi muft mein bikti nahin!
 © Kritika Bhatia

#happiness #sadness #feelings #hindiwriting #hindilines #hindipoems #hindiwriters #hindikavita #hindipoem #hindiwords #hindilove #hindi_poetry

No comments:

Post a Comment