Friday 1 May 2020

RIHAEE

Badi sayaani hai apni taqdeer,
Har baar nishaane pe lagta hai uska teer,
Apni marzi se chalata hai yeh hum sab ko,
Hum bas kathputli hain iske ab toh.

Jab kare yeh ishaara,
Toh naache yeh zamana,
Apni hi dhun mein kahin hai yeh kho jaati,
Yeh taqdeer sabko nahin bhaati.

Janam bhi ho toh iski anumati se,
Zindagi chale iske manchaahe gati pe,
Kabhi nahin sochti hai parivaar ke logo ka,
Jab kisi ke mrityu ka samay hai aata.

Akela chhod jaate hai log yahaan,
Apna sundar sa aashiyaan,
Apno ko hoti hai behadd tanhaai,
Aur bas yaadein reh gayi.

Badi mushkil hai yeh rihaee,
Sabhi ko hai rulaai,
Par kya karein, yeh hai sansaar ka niyam,
Jaata hai har woh shakhs jo leta hai janam.... .
.
.
©️ Kritika Bhatia

#death #heavenlyabode #salvation #dearones #family #attachment #bonding #relationship #hindipoetry #hindiwriting #hindipoems #hindipoem #hindikavita #hindilines #hindiwriters #hindiwords #hindi_poetry #hindilove #hindipanktiyaan #poeticjustice #poetrylovers #potd

No comments:

Post a Comment