Monday 25 May 2020

Tum Bhi Na...

Dekhte ho har baar mujhe,
Kho jaate ho kahin khayalon mein,
Tum bhi na, soch mein ho doobe.

Ishaare karte ho aankhon se,
Sajaakar sapne saath rehne ke,
Tum bhi na, kalpanaon se ho bhare.

Baat karoon, toh sharma jaate ho,
Ek halki si muskaan hothon par laate ho,
Tum bhi na, bade pyaare ho.

Har lamha mera intezaar karte ho,
Mann hi mann khush ho jaate ho,
Tum bhi na, mujhe acche lagne lage ho.

Pareshaan hoti hoon agar,
Toh mujhe hasaate ho,
Tum bhi na, bahut mazaak karte ho.

Tanhaaiyan ab door hain mujhse,
Hote tum jab paas ho,
Tum bhi na, bade khaas ho.

Zaroorat ho tumhaari agar,
Bin kahe baat samajh lete ho,
Tum bhi na, bade sayaane ho.

Doosron ki parwaah karte ho,
Hamesha prerna dilaate ho,
Tum bhi na, bade aasaani se dil jeet lete ho.

© Kritika Bhatia

#youaremine #you #lovepoems #loveisintheair #loveisbeautiful #lovestory #innocentlove #support #poetryoninsta #poetrywriters #poetscorner #poetryinhindi #poemscommunity #poetsofinstagram #poetcommunity #writingcommunity #writingislife #writersofindia #writerscommunity #writersofig

No comments:

Post a Comment