Saturday 16 December 2017

Zanjeer (Gaana)

kabse thi dil,
mein bechaini,
kuch kehna tha tumse,
ek baat dil mein thi dabi.

kismat ne saath diya agar,
toh meelon tak chalenge saath,
har mod par khushiyaan aur gham,
baatenge, chaahe kaise bhi ho haalaat.

yeh duniya hai badi farebi,
kisi ko bhi pragati karte huye na dekhegi,
apni shartein lagaaye baithegi,
aur har kadam pairon mein zanjeerein banndhegi.

aisi zanjeerein jo khul na sakengi,
reeti-riwaazon, dharm, aur mazhab par nirdhaarit hongi,
har kadam ladkhadaayeingi do premi,
aur mrityu tak inke khulne kaa intezaar karengi.

aise kaise jeeyega koi?
har dum baadhaayeinb aayengi,
koi toh insaaf dilaaye inhein,
taaki kabhi bhi koi bhi insaan pyaar karne se na darre.

 

No comments:

Post a Comment