Saturday 16 December 2017

Mere Saath Tu (Gaana)

Kismat ne hai milaaya humein,
Kisi wajah se,
Ab na honge hum juda,
Mitaa denge saare faasle.

Kudrat ka karishma,
Dekho toh zara,
Kya rang laayi hai,
Humaari wafa.

Kyon darta hai tu?
Baatein kyon na karta hai tu?
Kaun hai rok raha tujhe?
Aakar mujhe bataa de tu.

Hum hain ek udaahran,
Na aayi kabhi anban,
Main tere saath hoon,
Aur mere saath tu.

Jab lage akelaapan,
Na tod dena dum,
Zindagi khatam nahi hui hai,
Saari mushkilein jald hi hongi kam.

Kahaan kho gayi saari khushiyaan?
Kyon hai sirf gham?
Aao, manayein saath mein jashn,
Kal, kya pataa, miley yaa na miley hum.

Yeh waqt na lautegaa,
Jee lo har lamhaa,
Kabhi maayoos na rehna,
Maan lo mera kehna.

Yeh saath sadaa bana rahe,
Karte hain yeh hi duaa,
Har pal, main tere saath hoon,
Har pal, mere saath tu.

No comments:

Post a Comment