Saturday 16 December 2017

Phir Miley Na Miley Hum (Gaana)

yeh pal jo hai,
inhein yaadon mein rakhna.
yeh khat jo hain,
inhein tanhaayi mein padhna.

phir jab aaye yaad meri,
bas aankhein band karna.
hum meelon door toh hain hi,
magar dil se kareeb hain na.

jo baatein zubaan kar na saki,
woh aankhein keh gayi.
na chaahte huye bhi,
meri aankhon se aansoo beh gayi.

kabhi doorie mehsoos nahi ki thi,
teri ore badhte gaye kadam.
is pal ko dil mein qaid kar lo,
na jaane phir miley naa miley hum.

ab toh nazar bhi nahin aaoge,
chale gaye ho itni door.
qurbaani deni padti hai kuch cheezon ki,
agar banna chaahte ho mashhoor.

bhool naa jaana unn palon ko,
saath bitaaye the jo.
yaadon mein rahoge sadaa,
tere liye duaa karenge sadaa.

taufe jo diye humne,
ek doosre ko,
unhein sambhaalna,
keemti hain woh.

intezaar rahegaa humein tumhaara,
aaoge toh jashn hoga.
magar filhaal tum jaa chuke ho,
apni manzil paane ko.

saamne rahegi tumhaari tasveer,
nihaarenge use roz.
tum dil mein rahoge jab tak tootegaa naa dum,
mrityu ke pehle, kya pataa, miley naa miley hum.

No comments:

Post a Comment