Wednesday 22 June 2016

My poem: Aasaan nahin hai mit jaana


Ret par jis tarah,
Padd jaate hain nishaan,
Ussi tarah dil se kisi ko,
Nikaalna nahin hai aasaan.
Ret par nishaan,
Mit jaate hain paani se,
Lekin kisi ke mann par kiye gaye nishaan,
Aasaani se nahin mit te.
Yaadein rehti hai,
Saath hamesha,
Har roz hota hai,
Ek naya saveraa.
Har savere mein,
Hai nayi baat,
Magar yaadein rehti hain,
Har dum humaare saath.
Nishaan mit jaate hain,
Par yaadein nahin,
Log mit jaate hain,
Magar unki baatein nahin.
Inhi nishaanon se,
Ban jaata hai aadmi mahaan,
Woh chhod jaata hai peeche,
Apna saara jahaan.

No comments:

Post a Comment