Wednesday 22 June 2016

College Days

college ke din,
nahi bhool paate kabhi,
doston ki yaad,
aati hai humko abhi.

woh saare lamhe,
jo saath bitaate the hum,
unhe sochkar,
aankhein ho jaati hai num.

college ke lectures,
bunk karte the kabhi,
phir jaate the,
chill karne kahin.

exams ki tension,
hoti thi sabhi ko,
phir bhi nibhaate the,
hum dosti ko.

canteen mein roz,
milkar khaate the hum,
ek doosre se,
kuch nahi chhupaate the hum.

kaise guzar jaata hai waqt,
itni tezi se,
kaash isse hum,
rewind kar paate.

jhagdon ko suljhaate,
ek doosre ke saath hote,
har ghadi ek doosre ko,
pyaar se hum samjhaate;

ki dosti hai precious,
todnaa mat tum isse,
phir class ke funny moments,
ek doosre ko hum sunaate.

console karte the doston ko,
jab woh the rotey,
exam mein fail hone ke kaaran,
woh ek doosre ke liye 'sorry' the.

yaaron,
ek baat yaad rakhna,
dosti mein,
kabhi shaq mat karna.

yeh shaq hi dosti ko todtaa hai,
ek doosre ko kamzor banaata hai,
yeh waqt nahi laut ta hai,
isliye jitna ho sake utna saath nibhaana hai.

No comments:

Post a Comment