Monday, 21 July 2025

Chaaron Ore

 Phail rahi hai mehak uski chaaron ore,

Goonj rahi hai uski payal aur kangan zor zor,

Kiske Dil par kar rahi hai raaj,

Dekhenge hum aaj.


Shayad sabhi ko sunaayi de rahi hai uski dastak,

Magar phir bhi hum rahein hai bhatak,

Sukoon toh iske ghunghroo mein hain,

Woh itni nasheeli hai ki bhool jaaye hum kya desi daaru mein hai.


Ek hi sureele geet mein hai gaa rahi,

Woh poore sansaar ko hai bulaa rahi,

Saath nibhaata koi nahin ab,

Magar iske sur mein saath mein khoye hain sab.


Taaliyan toh bajeingi hi,

Magar yaad rahegi sada uski woh raagini,

Goonj rahi hai jo chaaron ore,

Bhoole na bhula sake, uska pyaar nahin hai itna kamzor.


© @knowledgeablebookworm


#fourcorners #everywhere #fourdirections #love #power #scent #musicoflove #attachment #playrepeat #continuous #addictive #hindi #poetsofinstagram #poems #poetrycommunity #poetsofig #poetrylovers #writingcommunity #writerscommunity #writersnetwork #writersofinstagram #writer

No comments:

Post a Comment