Jeevan hai aisi neev,
Jise mazboot rakhna hai zaroori,
Iske bina,
Bhavishya hai adhoora.
Jeevan mein mat maano haar,
Mushkilon ka muqaabala karo,
Mauka hai sirf ek,
Magar khushiyaan hain anek.
Ek baar jo ban gaye kamzor,
Toh toot jaayegi yeh 'imaarat'
Isse banane mein,
Lagi hai bahut 'mehnat'.
Agar banna chaahte ho kaamyaab,
Toh dhoondo jawaab,
Un prashnon ka,
Jo tumhein dilaayeinge safaltaa.
Jeevan ko sakaaratmak nigaahon se dekho,
Ise khul kar jeeyo,
Iska har pal hai keemti,
Aur iski kahhani hai lambi.
Bas ise vyarth na jaane dena,
Aur iska arth samajh lena,
Kahin bahut der na ho jaaye,
Kahin yeh jeevan,
Na ban jaaye tumhaara dushman.
No comments:
Post a Comment