Wednesday, 22 June 2016

DON'T TOUCH MY CHOLI...

Main surat se hoon bholi,
Mujhse hi hai yeh sansaar,
Maine hi paala hai tujhe,
Aur diya hai laad-pyaar.
Teri har zaroorat poori ki,
Jab tera mann jaaga tha,
Raat ko main so nahi paai,
Tere bukhaar ke liye mere paas thi dava.
Teri manpasand cheezein banati thi,
Jab tu thak kar aata tha,
Na jaane kitni loriyaan sunaai hogi tujhe,
Jab tujhe vishraam karna tha.
Tujhe poora sansaar de diya,
Tujhe hi bana di zindagi,
Mujhe lagta tha,
Ki tujhse badhkar koi nahin.
Jab tu rotaa tha,
Main tere aansu pochti thi,
Aur tujhe sikhaati thi,
Kya galat, kya sahi.
Magar waqt ne tujhe badal diya,
Tu badaa ho gaya,
Apni manmaani karne lagaa,
Mujhe bin bataaye kahin chalaa jaata tha.
Tere lautne ke intezaar main,
Maine kuch khaaya hi nahin,
Mere toh hosh udd gaye,
Police station se phone aaya tha jabhi.
Bhaagte-bhaagte main wahaan pahunchi,
Tujhe wahaan dekh kar ghabraa gayi,
Havaaldaar ne mujhse kaha,
"Aapka beta aaropi hai" aur mujhe poori kahaani sunaayi.
Mujhe toh mar jaana chaahiye tha,
Yeh baat sunne se pehle,
Ki tune kisi ladki ka balaatkaar kiya,
Aur uske churaaye gehne.
Aurat ne iss duniya mein,
Bahut kuch kiya hai qurbaan,
Toh phir usse,
Kyon nahin diya jaata hai sammaan?
Usne bahut kuch sahaa hai,
Apne parivaar ki khushi ke liye,
Har purush se usse hai ek hi vinti,
Please don't touch my choli...

No comments:

Post a Comment