Thokarein khaayi hain humne bhi hazaar,
Kuch iss kadar chot lagi ki rote gaye baar baar,
Koi sahaara bhi na tha, na tha koi marham,
Bas yun hi zindagi deti gayi zakhm.
Saari aashayein choor ho gayi,
Na dikhi mujhe manzil kahin,
Dosh deti rahi main kismat ko,
He Bhagwan, ab toh koi chamatkar karo!
Khafa ho gayi thi apne aap se,
Kyon tadapne ko chhoda zindagi ne?
Tab mujhe kahaan pata tha,
Ki mujhse bhi hain kayee log besahara?
Chhat nahin thi, na thi koi suvidha,
Shiksha paane ki aas thi, magar nahin tha paisa,
Majboor ho kar ban gaye auro ke sevak,
Aasman thi unki chhat, aur farsh thi woh sadak.
Tab mujhe ehsaas hua,
Zakhm doosron ka tha mujhse bhi gehra,
Bewajah dosh de rahi thi zindagi ko,
Main kya hoon, yeh tab mehsoos hua mujhko.
Unka dard mujhse tha kayi zyada,
Unko takleef thi har jagah,
Phir bhi jee rahe the bin shikayat ke,
Hum toh unse kaafi khushnaseeb the.
Ussi waqt maafi mangi,
Maine uss Rab se unke liye dua mangi,
Har mod par khush raho mile jo bhi,
Aur yaad rakhna - Zindagi se kabhi roothna nahin.
© Kritika Bhatia
#life
#lifepoems #lifepoetry #lifeisbeautiful #appreciatelife #lovezindagi #loveyouzindagi #bethankful #begrateful #dontcomplain #dontcry #dontcompareyourself #godisgreat #writersofinstagram #writing #writingcommunity #writerscommunity #writersworld #writerscorner #writersofinsta #writersofindia #positivity #poetry #poetsofinstagram #poetryoftheday

No comments:
Post a Comment