Har roz aati hai ek nayi subah,
Har raat ke saath dhalti hai jeene ki utsah.
Humara ateet humein prabhavit karta hai,
Usse hi dekhkar lete hain zindagi ke faisle.
Humara ateet hua bura agar,
Toh behta hai aankhon se aasuon ka sagar.
Deta hai yeh dard jab aaye humein yaad,
Hum bante hain kamzor har pal ke baad.
Dard bhi kaisa ehsaas hai,
Lamha beet gaya, par asar ab bhi paas hai.
Koi chahe kitna bhi humein khush kare,
Unn yaadon se mann nahi ho sake pare.
Marte dum tak dhalta nahi,
Pal-pal dil pighalta yahin.
Kitna bhaari hai iska bojh,
Yeh dard humein sataayega annt tak, har roz.

No comments:
Post a Comment